Sunday, October 2, 2016

Jhaank kar dekho zara

Jhaank kar dekho zara
Koi aa raha hai kya?
Barish hai barson ke baad ki
Baras rahi hai, taras rahi hai...


Meri jhoonki hui nazron ko
Padhne ki khwahish jo rakhte hai
Un nazron se nazrein milna mushkil hai
Par jab hazaron bundon ki awaz
Jhapent-ti hui aati hai
Garajti hai haasiyon ke aad mein
Unko tab na pukaar paane ka dard
Tut padti hai...


Barson ki pyaas yaad dilati hai
Jab meri saanson ki awaz suniayi nahi deti
Tab har ek saans ke sannaaton mein
Tum sun sakte ho…
Mein baras nahi sakti tumhaare liye

Yeh yaad karati hai.




No comments:

Post a Comment